jo bhi barbaad ho nahin sakta
jo bhī barbād ho nahīñ saktā
vo to farhād ho nahīñ saktā
'ishq vaqt-e-digar pe kyoñ chhoḌeñ
ye tire baa'd ho nahīñ saktā
mire piñjre ko toḌte kyoñ ho
jab maiñ āzād ho nahīñ saktā
ye farishtoñ kā kaam hotā hai
aadmī shaad ho nahīñ saktā
us pe terā gumān kaise ho
dukh to ham-zād ho nahīñ saktā
aise lagtā thā vo hasīñ chehra
sitam-ījād ho nahīñ saktā
tujh se pahle to ḳhair kyā hogā
jo tire baa'd ho nahīñ saktā
kyā karūñ merā naam 'anjum' hai
maiñ zamīñ-zād ho nahīñ saktā
jo bhi barbaad ho nahin sakta
wo to farhad ho nahin sakta
'ishq waqt-e-digar pe kyon chhoDen
ye tere ba'd ho nahin sakta
mere pinjre ko toDte kyon ho
jab main aazad ho nahin sakta
ye farishton ka kaam hota hai
aadmi shad ho nahin sakta
us pe tera guman kaise ho
dukh to ham-zad ho nahin sakta
aise lagta tha wo hasin chehra
sitam-ijad ho nahin sakta
tujh se pahle to KHair kya hoga
jo tere ba'd ho nahin sakta
kya karun mera nam 'anjum' hai
main zamin-zad ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.