jo bhi dena hai wo KHuda dega
jo bhī denā hai vo ḳhudā degā
aadmī aadmī ko kyā degā
apne ehsās meñ utaar use
qurb kā lutf fāsla degā
bhiiḌ ko chiir kar maqām banā
varna aalam nā rāsta degā
ḳhāma-e-adl bik gayā to bike
vaqt ḳhud faisla banā degā
mere ghar ko ujāḌne vaale
jā tujhe āsmāñ sazā degā
aag degā zamāna ghar ko mire
aur sho.aloñ ko phir havā degā
jo bhi dena hai wo KHuda dega
aadmi aadmi ko kya dega
apne ehsas mein utar use
qurb ka lutf fasla dega
bhiD ko chir kar maqam bana
warna aalam na rasta dega
KHama-e-adl bik gaya to bike
waqt KHud faisla bana dega
mere ghar ko ujaDne wale
ja tujhe aasman saza dega
aag dega zamana ghar ko mere
aur shoalon ko phir hawa dega
- Book : Safeer-e-akhir-e-shab(Poetry) (Pg. 117)
- Author : Ram avtar gupta ''muztar''
- Publication : Takhleeqkar Publishers (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.