jo bhi guzre dil ke zaKHmon ko nihan rakkha karen
jo bhī guzre dil ke zaḳhmoñ ko nihāñ rakkhā kareñ
ham ḳhayāl-e-ābrū-e-dostāñ rakkhā kareñ
yūrish-e-ġham pai-ba-pai taslīm lekin ye batā
muḳhtasar se dil meñ ye sāmāñ kahāñ rakkhā kareñ
is tarah taḌpeñ ki dil ko bhī ḳhabar hone na deñ
saarī duniyā se judā tarz-e-fuġhāñ rakkhā kareñ
gar taqāzā ho to baḌh kar apne hāthoñ phūñk deñ
rakhne ko har dam ḳhayāl-e-āshiyāñ rakkhā kareñ
zindagī kā ahl-e-dil dete raheñ kuchh to subūt
gar nahīñ sho'la to kam se kam dhuāñ rakkhā kareñ
rok leñ rasta na jaane zulmateñ kis moḌ par
us kī yādoñ ko safar meñ zau-fishāñ rakkhā kareñ
rah-ravān-e-shauq jab hai ek hī manzil to phir
ek jaada ek mīr-e-kārvāñ rakkhā kareñ
hai agar nazroñ meñ koī ḳhūb-sūrat inqalāb
zehn meñ maazī kī raushan dāstāñ rakkhā kareñ
dushman-e-jāñ dost ban jaa.e ye mumkin hai 'na'īm'
dil meñ itnī ḳhush-gumānī to miyāñ rakkhā kareñ
jo bhi guzre dil ke zaKHmon ko nihan rakkha karen
hum KHayal-e-abru-e-dostan rakkha karen
yurish-e-gham pai-ba-pai taslim lekin ye bata
muKHtasar se dil mein ye saman kahan rakkha karen
is tarah taDpen ki dil ko bhi KHabar hone na den
sari duniya se juda tarz-e-fughan rakkha karen
gar taqaza ho to baDh kar apne hathon phunk den
rakhne ko har dam KHayal-e-ashiyan rakkha karen
zindagi ka ahl-e-dil dete rahen kuchh to subut
gar nahin sho'la to kam se kam dhuan rakkha karen
rok len rasta na jaane zulmaten kis moD par
us ki yaadon ko safar mein zau-fishan rakkha karen
rah-rawan-e-shauq jab hai ek hi manzil to phir
ek jada ek mir-e-karwan rakkha karen
hai agar nazron mein koi KHub-surat inqalab
zehn mein mazi ki raushan dastan rakkha karen
dushman-e-jaan dost ban jae ye mumkin hai 'na'im'
dil mein itni KHush-gumani to miyan rakkha karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.