Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo bhi hai ranj-o-gham KHatm ho jaega

Arshad Aziz

jo bhi hai ranj-o-gham KHatm ho jaega

Arshad Aziz

MORE BYArshad Aziz

    jo bhī hai ranj-o-ġham ḳhatm ho jā.egā

    us se karvāo dam ḳhatm ho jā.egā

    ḳhud meñ itnī ziyāda havā mat bharo

    saañs zer-o-bam ḳhatm ho jā.egā

    ḳhvāb fasl gar jalā ga.ī

    to ilāqe se nam ḳhatm ho jā.egā

    ek āvāz aa.egī bas aur phir

    silsila ek dam ḳhatm ho jā.egā

    mere ġham se zarā vāqafiyyat baḌhā

    dekhnā terā ġham ḳhatm ho jā.egā

    apnī mushkil batātā nahīñ maiñ use

    merā saarā bharam ḳhatm ho jā.egā

    apne hone itnī dalīleñ na de

    ḳhudā qasam ḳhatm ho jā.egā

    kyā muqaddar meñ chhoTī tarmīm se

    bām-e-lauh-o-qalam ḳhatm ho jā.egā

    mere naqsh-e-qadam par na chalnā 'azīz'

    merā naqsh-e-qadam ḳhatm ho jā.egā

    jo bhi hai ranj-o-gham KHatm ho jaega

    us se karwao dam KHatm ho jaega

    KHud mein itni ziyaada hawa mat bharo

    sans ka zer-o-bam KHatm ho jaega

    KHwab ki fasl hi gar jala di gai

    to ilaqe se nam KHatm ho jaega

    ek aawaz aaegi bas aur phir

    silsila ek dam KHatm ho jaega

    mere gham se zara waqafiyyat baDha

    dekhna tera gham KHatm ho jaega

    apni mushkil batata nahin main use

    mera sara bharam KHatm ho jaega

    apne hone ki itni dalilen na de

    tu KHuda ki qasam KHatm ho jaega

    kya muqaddar mein chhoTi si tarmim se

    baam-e-lauh-o-qalam KHatm ho jaega

    mere naqsh-e-qadam par na chalna 'aziz'

    mera naqsh-e-qadam KHatm ho jaega

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now