jo bhi haq par ho wahi dar-o-rasan tak pahunche
jo bhī haq par ho vahī dār-o-rasan tak pahuñche
aadmī aaj kā yuuñ rasm-e-kohan tak pahuñche
baat ho gul kī jahāñ us ke laboñ tak aa.e
zikr jab sarv kā ho us ke badan tak pahuñche
maiñ ne Thānī hai hifāzat maiñ karūñgī us kī
ho jo himmat to ḳhizāñ mere chaman tak pahuñche
ye badan Dhaal banā lūñgī havā ke aage
garm jhoñkā jo koī mere vatan tak pahuñche
aur bhī hoñge yahāñ laakh suḳhan-var lekin
koī to ho jo mirī tarz-e-suḳhan tak pahuñche
jo bhi haq par ho wahi dar-o-rasan tak pahunche
aadmi aaj ka yun rasm-e-kohan tak pahunche
baat ho gul ki jahan us ke labon tak aae
zikr jab sarw ka ho us ke badan tak pahunche
main ne Thani hai hifazat main karungi us ki
ho jo himmat to KHizan mere chaman tak pahunche
ye badan Dhaal bana lungi hawa ke aage
garm jhonka jo koi mere watan tak pahunche
aur bhi honge yahan lakh suKHan-war lekin
koi to ho jo meri tarz-e-suKHan tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.