jo bhi likhna tha barmala likhte
jo bhī likhnā thā barmalā likhte
ya.anī tum apnā mudda.ā likhte
vājib-ul-ehtirām likh to diyā
aur kyā aap ko ḳhudā likhte
chāhtā thā amīr-e-shahr yahī
qatl ko ham bhī vāqi.a likhte
likh diyā jis ke dil meñ jo aaya
tum magar dil ko aa.ina likhte
apnī betābiyāñ likhīñ 'zāhid'
ḳhat meñ kyā is ke mā-sivā likhte
jo bhi likhna tha barmala likhte
yani tum apna muddaa likhte
wajib-ul-ehtiram likh to diya
aur kya aap ko KHuda likhte
chahta tha amir-e-shahr yahi
qatl ko hum bhi waqia likhte
likh diya jis ke dil mein jo aaya
tum magar dil ko aaina likhte
apni betabiyan likhin 'zahid'
KHat mein kya is ke ma-siwa likhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.