jo bhi tere qarib hai ya-rab
jo bhī tere qarīb hai yā-rab
vo jahāñ kā habīb hai yā-rab
koī ġhamgīn hai koī ḳhush hai
apnā apnā nasīb hai yā-rab
tū hī zāhir hai tū hī bātin hai
terī hastī ajiib hai yā-rab
jis pe terī nazar na ho aisā
ahl-e-zar bhī ġharīb hai yā-rab
tū ne qātil banā diyā jis ko
vahī merā tabīb hai yā-rab
aaj har shaḳhs ke gale meñ kyoñ
ik nishān-e-salīb hai yā-rab
duur nazroñ se hai jahāñ kī 'mayank'
vo jo tere qarīb hai yā-rab
jo bhi tere qarib hai ya-rab
wo jahan ka habib hai ya-rab
koi ghamgin hai koi KHush hai
apna apna nasib hai ya-rab
tu hi zahir hai tu hi baatin hai
teri hasti ajib hai ya-rab
jis pe teri nazar na ho aisa
ahl-e-zar bhi gharib hai ya-rab
tu ne qatil bana diya jis ko
wahi mera tabib hai ya-rab
aaj har shaKHs ke gale mein kyon
ek nishan-e-salib hai ya-rab
dur nazron se hai jahan ki 'mayank'
wo jo tere qarib hai ya-rab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.