jo bhi zinda hai yahan qatl kiya jaega
jo bhī zinda hai yahāñ qatl kiyā jā.egā
dekhiye mujh ko kahāñ qatl kiyā jā.egā
hoñT sī luuñ to ye mumkin hai ki mohlat mil jaa.e
kholtā huuñ jo zabāñ qatl kiyā jā.egā
mujh ko āsār batāte haiñ ye bastī hai jahāñ
mard-o-zan pīr-o-javāñ qatl kiyā jā.egā
vo savālāt na.ī nasl meñ jī uTTheñge
jin ko bhī zer-e-zabāñ qatl kiyā jā.egā
aisī bastī kī tabāhī to aTal hai 'maz.har'
be-gunāhoñ ko jahāñ qatl kiyā jā.egā
jo bhi zinda hai yahan qatl kiya jaega
dekhiye mujh ko kahan qatl kiya jaega
honT si lun to ye mumkin hai ki mohlat mil jae
kholta hun jo zaban qatl kiya jaega
mujh ko aasar batate hain ye basti hai jahan
mard-o-zan pir-o-jawan qatl kiya jaega
wo sawalat nai nasl mein ji uTThenge
jin ko bhi zer-e-zaban qatl kiya jaega
aisi basti ki tabahi to aTal hai 'mazhar'
be-gunahon ko jahan qatl kiya jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.