jo biti hai jo bitegi sab afsane lage hum ko
jo biti hai jo bitegi sab afsane lage hum ko
Mushaf Iqbal Tausifi
MORE BYMushaf Iqbal Tausifi
jo biitī hai jo bītegī sab afsāne lage ham ko
use dekhā to apne ḳhvāb hī sachche lage ham ko
unheñ dekhā to jaise par-shikasta koī taa.ir ho
vo apnī Daar se bichhḌe thake haare lage ham ko
bahut nārāz the ḳhud se kisī se kuchh nahīñ bole
vo ik kone meñ yuuñ baiThe hue achchhe lage ham ko
samajhte hī na the samjhāyā un ko rāsta dil kā
ka.ī naqshoñ ko phailāyā ka.ī ghanTe lage ham ko
vahī afsāne duniyā ke ab un se ham ko kyā lenā
kabhī uktā ga.e un se kabhī achchhe lage ham ko
zarā haT kar jo apne-āp ko kuchh duur se dekhā
to jin bātoñ pe itnā ro.e the qisse lage ham ko
unheñ duniyā kā aisā moh socho to hañsī aa.e
vo sattar saal ke hoñge magar bachche lage ham ko
bachā kar laa.e is tanhā.ī ko ham bhiiḌ se 'mus.haf'
phir ik rickshe meñ baiThe aur baḌe dhakke lage ham ko
jo biti hai jo bitegi sab afsane lage hum ko
use dekha to apne KHwab hi sachche lage hum ko
unhen dekha to jaise par-shikasta koi tair ho
wo apni Dar se bichhDe thake haare lage hum ko
bahut naraaz the KHud se kisi se kuchh nahin bole
wo ek kone mein yun baiThe hue achchhe lage hum ko
samajhte hi na the samjhaya un ko rasta dil ka
kai naqshon ko phailaya kai ghanTe lage hum ko
wahi afsane duniya ke ab un se hum ko kya lena
kabhi ukta gae un se kabhi achchhe lage hum ko
zara haT kar jo apne-ap ko kuchh dur se dekha
to jin baaton pe itna roe the qisse lage hum ko
unhen duniya ka aisa moh socho to hansi aae
wo sattar sal ke honge magar bachche lage hum ko
bacha kar lae is tanhai ko hum bhiD se 'mushaf'
phir ek rickshe mein baiThe aur baDe dhakke lage hum ko
- Book : Sitara Ya Aasman (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.