jo bujh chuke hain wo lamhe ujalta kyon hai
jo bujh chuke haiñ vo lamhe ujāltā kyoñ hai
mire badan pe ḳharāsheñ bhī Dāltā kyoñ hai
maiñ mo'tariz to nahīñ huuñ magar ye samjhā de
jo mārnā hai to duniyā ko pāltā kyoñ hai
tujhe talāsh hai jis kī vo terī zaat meñ hai
ye koh-o-ban ye samundar khañgāltā kyoñ hai
nahīñ hai vo tirā koī to phir zarūrat kyā
tū us ke husn ko sheroñ meñ Dhāltā kyoñ hai
agar nahīñ huuñ maiñ mānind-e-mehr-o-mah to mujhe
zamīñ se koī falak par uchhāltā kyoñ hai
shikast-o-marg meñ jab tarz-e-āsmāñ hai to phir
tū apne TuuTe hue par sambhāltā kyoñ hai
na maiñ rasūl na haadī na peshvā na imaam
mujhe tū mere vatan se nikāltā kyoñ hai
jo bujh chuke hain wo lamhe ujalta kyon hai
mere badan pe KHarashen bhi Dalta kyon hai
main mo'tariz to nahin hun magar ye samjha de
jo marna hai to duniya ko palta kyon hai
tujhe talash hai jis ki wo teri zat mein hai
ye koh-o-ban ye samundar khangalta kyon hai
nahin hai wo tera koi to phir zarurat kya
tu us ke husn ko sheron mein Dhaalta kyon hai
agar nahin hun main manind-e-mehr-o-mah to mujhe
zamin se koi falak par uchhaalta kyon hai
shikast-o-marg mein jab tarz-e-asman hai to phir
tu apne TuTe hue par sambhaalta kyon hai
na main rasul na hadi na peshwa na imam
mujhe tu mere watan se nikalta kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.