jo bujh gae the charagh phir se jala raha hai
jo bujh ga.e the charāġh phir se jalā rahā hai
ye kaun dil ke kivāḌ phir khaTkhaTā rahā hai
muhīb qahtur-rijāl meñ bhī ḳhayāl terā
na.e manāzir na.e shagūfe khilā rahā hai
vo giit jis meñ tirī kahānī simaT ga.ī thī
use na.ī tarz meñ koī gungunā rahā hai
maiñ vus.atoñ se bichhaḌ ke tanhā na jī sakūñgā
mujhe na roko mujhe samundar bulā rahā hai
vo jis ke dam se maiñ us kī yādoñ se munsalik huuñ
use ye kahnā vo ghaao bhī bhartā jā rahā hai
jo bujh gae the charagh phir se jala raha hai
ye kaun dil ke kiwaD phir khaTkhaTa raha hai
muhib qahtur-rijal mein bhi KHayal tera
nae manazir nae shagufe khila raha hai
wo git jis mein teri kahani simaT gai thi
use nai tarz mein koi gunguna raha hai
main wusaton se bichhaD ke tanha na ji sakunga
mujhe na roko mujhe samundar bula raha hai
wo jis ke dam se main us ki yaadon se munsalik hun
use ye kahna wo ghao bhi bharta ja raha hai
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.