jo bure shaKHs ko bhala samjhe
jo bure shaḳhs ko bhalā samjhe
aise logoñ ko phir ḳhudā samjhe
maiñ ne kuchh aur hī kahā thā magar
ye batā.eñ ki aap kyā samjhe
ye ḳhatā gar nahīñ to phir kyā hai
vo samajh se bhī jab sivā samjhe
pahle mujh ko samajh na paa.e vo
phir huā yuuñ ke barmalā samjhe
ham bhī kitne the nā-samajh haa.e
us ke parde ko hī hayā samjhe
panchhiyoñ ne hilā.e the patte
aur musāfir use havā samjhe
us pe ahl-e-vafā kī la.anat hai
bevafā ko jo bā-vafā samjhe
be-ḳhatā mat kaho use yaaro
jo ḳhatā ko bhī na ḳhatā samjhe
vo duā de rahā thā jiine kī
aur ham us ko badduā samjhe
barsoñ rotī rahī vo furqat meñ
barsoñ ham us ko ik adā samjhe
jo bure shaKHs ko bhala samjhe
aise logon ko phir KHuda samjhe
main ne kuchh aur hi kaha tha magar
ye bataen ki aap kya samjhe
ye KHata gar nahin to phir kya hai
wo samajh se bhi jab siwa samjhe
pahle mujh ko samajh na pae wo
phir hua yun ke barmala samjhe
hum bhi kitne the na-samajh hae
us ke parde ko hi haya samjhe
panchhiyon ne hilae the patte
aur musafir use hawa samjhe
us pe ahl-e-wafa ki lanat hai
bewafa ko jo ba-wafa samjhe
be-KHata mat kaho use yaro
jo KHata ko bhi na KHata samjhe
wo dua de raha tha jine ki
aur hum us ko baddua samjhe
barson roti rahi wo furqat mein
barson hum us ko ek ada samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.