jo chahte ho ki manzil tumhaari jada ho
jo chāhte ho ki manzil tumhārī jaada ho
to apnā zehn bhī is ke liye kushāda ho
vo yaad aa.e to apnā vajūd hī na mile
na yaad aa.e to mujh ko thakan ziyāda ho
pahāḌ kaaT duuñ sūraj ko haath par rakh luuñ
zarā ḳhayāl meñ shāmil agar irāda ho
samajh sako jo zamāne ke tum nasheb-o-farāz
to apne ahd ke bachchoñ se istifāda ho
ye sochtā huuñ vo jis dam mirī talāsh kare
haqīqatoñ kā mire jism par libāda ho
hai justujū mujhe ik aise shaḳhs kī yaaro
jo ḳhush-mizāj bhī ho aur dil kā saada ho
jo chahte ho ki manzil tumhaari jada ho
to apna zehn bhi is ke liye kushada ho
wo yaad aae to apna wajud hi na mile
na yaad aae to mujh ko thakan ziyaada ho
pahaD kaT dun suraj ko hath par rakh lun
zara KHayal mein shamil agar irada ho
samajh sako jo zamane ke tum nasheb-o-faraaz
to apne ahd ke bachchon se istifada ho
ye sochta hun wo jis dam meri talash kare
haqiqaton ka mere jism par libaada ho
hai justuju mujhe ek aise shaKHs ki yaro
jo KHush-mizaj bhi ho aur dil ka sada ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.