Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo chala gaya so chala gaya jo hai pas us ka KHayal rakh

Yasmeen Habeeb

jo chala gaya so chala gaya jo hai pas us ka KHayal rakh

Yasmeen Habeeb

MORE BYYasmeen Habeeb

    jo chalā gayā so chalā gayā jo hai paas us ḳhayāl rakh

    jo luTā diyā use bhuul jo bachā hai us ko sambhāl rakh

    kabhī sar meñ saudā samā koī kabhī regzār meñ raqs kar

    kabhī zaḳhm bāñdh ke paañv meñ kahīñ surḳh surḳh dhamāl rakh

    jo churā.ī hai shab-e-tār se ka.ī ratjagoñ ko guzār ke

    vahī kājaloñ lakīr hai apnī aañkh meñ Daal Daal rakh

    kisī taara taara firāq se koī guftugū koī baat kar

    ye javāb-gāh-e-shu.ūr hai koī apne paas savāl rakh

    tire dard saare girāñ-bahā tirī vahshateñ haiñ azīm-tar

    vahī baal khol ke bain kar vahī shām-e-sahn-e-malāl rakh

    jahāñ laġhzishoñ se mafar nahīñ ye vo āgahī maqām hai

    yahāñ hast-o-būd ko bhuul na.ī qurbatoñ se visāl rakh

    ye jo raushnī hai dā.era ye rahīn-e-shams-o-qamar nahīñ

    tire bas meñ kab thā ki ab rahe uruuj rakh zavāl rakh

    jo chala gaya so chala gaya jo hai pas us ka KHayal rakh

    jo luTa diya use bhul ja jo bacha hai us ko sambhaal rakh

    kabhi sar mein sauda sama koi kabhi regzar mein raqs kar

    kabhi zaKHm bandh ke panw mein kahin surKH surKH dhamal rakh

    jo churai hai shab-e-tar se kai ratjagon ko guzar ke

    wahi kajalon ki lakir hai apni aankh mein Dal Dal rakh

    kisi tara tara firaq se koi guftugu koi baat kar

    ye jawab-gah-e-shuur hai koi apne pas sawal rakh

    tere dard sare giran-baha teri wahshaten hain azim-tar

    wahi baal khol ke bain kar wahi sham-e-sahn-e-malal rakh

    jahan laghzishon se mafar nahin ye wo aagahi ka maqam hai

    yahan hast-o-bud ko bhul ja nai qurbaton se visal rakh

    ye jo raushni ka hai daera ye rahin-e-shams-o-qamar nahin

    tere bas mein kab tha ki ab rahe tu uruj rakh ya zawal rakh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now