jo chand sansen sukun ki yahan kamaya hun
jo chand sansen sukun ki yahan kamaya hun
Zakir Husain Halsangi
MORE BYZakir Husain Halsangi
jo chand sāñseñ sukūñ kī yahāñ kamāyā huuñ
ye ḳhvāhishāt kī kashtī jalā ke paayā huuñ
ki jis ke pair se kāñTe nikāle the maiñ ne
usī ke tīroñ se chhalnī maiñ ho ke aaya huuñ
tirī hadoñ kī mujhe fikr to kabhī na thī
maiñ apnī had meñ har ik had talak samāyā huuñ
fareb-e-sūd-o-ziyāñ meñ kabhī na aane kā
bhulā ke ḳhud ko ḳhudī se ajī milāyā huuñ
maiñ tujh ko kuchh bhī nahīñ de sakūñgā ai 'zākir'
maiñ apne aap meñ apnā hī to baqāyā huuñ
jo chand sansen sukun ki yahan kamaya hun
ye KHwahishat ki kashti jala ke paya hun
ki jis ke pair se kanTe nikale the main ne
usi ke tiron se chhalni main ho ke aaya hun
teri hadon ki mujhe fikr to kabhi na thi
main apni had mein har ek had talak samaya hun
fareb-e-sud-o-ziyan mein kabhi na aane ka
bhula ke KHud ko KHudi se aji milaya hun
main tujh ko kuchh bhi nahin de sakunga ai 'zakir'
main apne aap mein apna hi to baqaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.