jo chhanw deta hai mujhko ghana shajar ban kar
jo chhāñv detā hai mujh ko ghanā shajar ban kar
maiñ us kā saath nibhātī huuñ us kā ghar ban kar
fazā-e-ilm-o-hunar raas aa ga.ī hai mujhe
ḳhudā kare ki rahūñ harf-e-mo'tabar ban kar
tū chāñd hai to duā hai kabhī ġhurūb na ho
ufuq meñ maiñ bhī rahūñ matl.a-e-sahar ban kar
ġhalat samajhtī thī maiñ us ko rāzdāñ apnā
jo ek saaya sā ubhrā thā ham-safar ban kar
ummīd-o-bīm se jab āzād ho ga.ī 'amabar'
to kāmyāb huī sāhib-e-nazar ban kar
jo chhanw deta hai mujh ko ghana shajar ban kar
main us ka sath nibhati hun us ka ghar ban kar
faza-e-ilm-o-hunar ras aa gai hai mujhe
KHuda kare ki rahun harf-e-mo'tabar ban kar
tu chand hai to dua hai kabhi ghurub na ho
ufuq mein main bhi rahun matla-e-sahar ban kar
ghalat samajhti thi main us ko raazdan apna
jo ek saya sa ubhra tha ham-safar ban kar
ummid-o-bim se jab aazad ho gai 'amabar'
to kaamyab hui sahib-e-nazar ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.