jo choT khane se Dar rahe hain
jo choT khāne se Dar rahe haiñ
vahī shajar be-samar rahe haiñ
vo chāhte haiñ mujhe Darānā
jo mere zer-e-asar rahe haiñ
jinheñ sikhāyā thā ham ne uḌnā
vo par hamāre katar rahe haiñ
sunā hai vo ab to guftugū bhī
hamāre lahje meñ kar rahe haiñ
parinde shohrat ke rafta rafta
bulandiyoñ se utar rahe haiñ
vo aa rahe haiñ ḳhabar chalī hai
sabhī ke chehre sañvar rahe haiñ
vo tak rahe haiñ mujhe musalsal
bahut se chehre utar rahe haiñ
vāqī.a kitne ye qaid-ḳhāne
yahāñ pe ahl-e-nazar rahe haiñ
ye maut hairat-zada hai 'anjum'
ki log jiine pe mar rahe haiñ
jo choT khane se Dar rahe hain
wahi shajar be-samar rahe hain
wo chahte hain mujhe Darana
jo mere zer-e-asar rahe hain
jinhen sikhaya tha hum ne uDna
wo par hamare katar rahe hain
suna hai wo ab to guftugu bhi
hamare lahje mein kar rahe hain
parinde shohrat ke rafta rafta
bulandiyon se utar rahe hain
wo aa rahe hain KHabar chali hai
sabhi ke chehre sanwar rahe hain
wo tak rahe hain mujhe musalsal
bahut se chehre utar rahe hain
waqia kitne ye qaid-KHane
yahan pe ahl-e-nazar rahe hain
ye maut hairat-zada hai 'anjum'
ki log jine pe mar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.