jo chuze aashiyane mein mare hain
jo chūze āshiyāne meñ mare haiñ
vo chiḌiyā ke na aane meñ mare haiñ
hamārī qabr par tahrīr kar do
ki ham ḳhud ko jilāne meñ mare haiñ
tumhārī raah ke zahrīle kiiḌe
hamāre āne-jāne meñ mare haiñ
shikārī raat meñ aayā thā yā'nī
parinde chahchahāne meñ mare haiñ
baḌe chamkīle the mohre hamāre
magar sab kaale ḳhāne meñ mare haiñ
jo chuze aashiyane mein mare hain
wo chiDiya ke na aane mein mare hain
hamari qabr par tahrir kar do
ki hum KHud ko jilane mein mare hain
tumhaari rah ke zahrile kiDe
hamare aane-jaane mein mare hain
shikari raat mein aaya tha ya'ni
parinde chahchahane mein mare hain
baDe chamkile the mohre hamare
magar sab kale KHane mein mare hain
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 77)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.