jo dagh hai ishq-e-dil-nashin ka jo dil-nashin hain dil-e-hazin ka
jo dagh hai ishq-e-dil-nashin ka jo dil-nashin hain dil-e-hazin ka
Qadr Bilgrami
MORE BYQadr Bilgrami
jo daaġh hai ishq-e-dil-nashīñ kā jo dil-nashīñ haiñ dil-e-hazīñ kā
vahī hai tamġha mirī jabīñ kā vahī sulaimāñ mire nagīñ kā
ga.ī na mar kar bhī kīna-ḳhvāhī milā ke miTTī meñ kī tabāhī
mirī tarah se kahīñ ilāhī falak bhī paivand ho zamīñ kā
taḌap na pūchho dil-e-hazīñ kī kahūñ maiñ tum se kahāñ kahāñ kī
usī se hai gardish āsmāñ kī usī se hai zalzala zamīñ kā
jahān sar par uThā rahā huuñ junūñ meñ dhūmeñ machā rahā huuñ
jo dasht meñ ḳhaak uḌā rahā huuñ dimāġh gurdoñ pe hai zamīñ kā
karam meñ ham ko ġhazab meñ ham ko kiyā jo mumtāz sab meñ ham ko
tumhārī dushnām-o-lab meñ ham ko maza milā zahr-o-añgbīñ kā
ye lāġharī ab hai ḳhār-e-dāman ki uTh nahīñ saktā bār-e-dāman
jo paañv apnā hai tār-e-dāman to haath hai taar āstīñ kā
miyān-e-mahshar malālatoñ se maiñ sham.a huuñ dil kī hālatoñ se
ki paañv tak sau ḳhijālatoñ se araq bahā hai mirī jabīñ kā
suḳhan ko 'qadr' auj de zabāñ se ki tuḳhm-e-afshāñ ho lā-makāñ se
kiyā hai 'nāsiḳh' ne āsmāñ se buland-tar rutba is zamīñ kā
jo dagh hai ishq-e-dil-nashin ka jo dil-nashin hain dil-e-hazin ka
wahi hai tamgha meri jabin ka wahi sulaiman mere nagin ka
gai na mar kar bhi kina-KHwahi mila ke miTTi mein ki tabahi
meri tarah se kahin ilahi falak bhi paiwand ho zamin ka
taDap na puchho dil-e-hazin ki kahun main tum se kahan kahan ki
usi se hai gardish aasman ki usi se hai zalzala zamin ka
jahan sar par uTha raha hun junun mein dhumen macha raha hun
jo dasht mein KHak uDa raha hun dimagh gurdon pe hai zamin ka
karam mein hum ko ghazab mein hum ko kiya jo mumtaz sab mein hum ko
tumhaari dushnam-o-lab mein hum ko maza mila zahr-o-angbin ka
ye laghari ab hai KHar-e-daman ki uTh nahin sakta bar-e-daman
jo panw apna hai tar-e-daman to hath hai tar aastin ka
miyan-e-mahshar malalaton se main shama hun dil ki haalaton se
ki panw tak sau KHijalaton se araq baha hai meri jabin ka
suKHan ko 'qadr' auj de zaban se ki tuKHm-e-afshan ho la-makan se
kiya hai 'nasiKH' ne aasman se buland-tar rutba is zamin ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.