jo dair-o-haram ko baham dekhte hain
jo dair-o-haram ko baham dekhte haiñ
vahī ādamiyyat ke ġham dekhte haiñ
hameñ dekh ham vahshatoñ ke jahāñ se
tirī zulf ke pech-o-ḳham dekhte haiñ
ajab hādisa hai ki ham chashm-e-gul se
anādil kī āñkhoñ ko nam dekhte haiñ
makāñ meñ hī kyā lā-makāñ meñ bhī tū hai
tujhe nūr-o-nik.hat meñ ham dekhte haiñ
ma.āl-e-gulistāñ farāmosh kar ke
matā.a-e-gulistāñ ko ham dekhte haiñ
jahāñ sar jhukāte haiñ ham be-ḳhudī meñ
'razā' un ke naqsh-e-qadam dekhte haiñ
jo dair-o-haram ko baham dekhte hain
wahi aadamiyyat ke gham dekhte hain
hamein dekh hum wahshaton ke jahan se
teri zulf ke pech-o-KHam dekhte hain
ajab hadisa hai ki hum chashm-e-gul se
anadil ki aankhon ko nam dekhte hain
makan mein hi kya la-makan mein bhi tu hai
tujhe nur-o-nikhat mein hum dekhte hain
maal-e-gulistan faramosh kar ke
mataa-e-gulistan ko hum dekhte hain
jahan sar jhukate hain hum be-KHudi mein
'raza' un ke naqsh-e-qadam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.