jo dam mein dam hai to saqi ki justuju hi sahi
Interesting Fact
1982
jo dam meñ dam hai to saaqī kī justujū hī sahī
nahīñ sharāb to saudā-e-ārzū hī sahī
jo bāñdhnā hai tasavvur hī apnī āñkhoñ meñ
to phir piyāla-o-sāġhar hī kyuuñ subū hī sahī
salāt-e-shar.a nahīñ jis kā ehtimām kareñ
namāz-e-ishq hai ai dil to be-vuzū hī sahī
junūñ meñ chaak hai dāman to fikr-e-sozan kyā
jo ban gayā hai garebāñ to be-rafū hī sahī
jo hai sharāb harīfān-e-bāda-paimā ko
hamāre vāste mauzū-e-guftugū hī sahī
agar ḳhayāl meñ ḳhvāboñ kī guuñj baaqī hai
to aañkh khulte hī ġhoġhā-e-hā-o-hū hī sahī
fasāna apne junūñ kā zabāñ zabāñ pe hai aaj
nahīñ jo sahrā-ba-sahrā to kū-ba-kū hī sahī
jafā-e-nāz agar hai babāñg-e-tabl-o-duhal
to dil-dukhoñ kā gilā surma-dar-gulū hī sahī
jo dam mein dam hai to saqi ki justuju hi sahi
nahin sharab to sauda-e-arzu hi sahi
jo bandhna hai tasawwur hi apni aankhon mein
to phir piyala-o-saghar hi kyun subu hi sahi
salat-e-shara nahin jis ka ehtimam karen
namaz-e-ishq hai ai dil to be-wuzu hi sahi
junun mein chaak hai daman to fikr-e-sozan kya
jo ban gaya hai gareban to be-rafu hi sahi
jo hai sharab harifan-e-baada-paima ko
hamare waste mauzu-e-guftugu hi sahi
agar KHayal mein KHwabon ki gunj baqi hai
to aankh khulte hi ghogha-e-ha-o-hu hi sahi
fasana apne junun ka zaban zaban pe hai aaj
nahin jo sahra-ba-sahra to ku-ba-ku hi sahi
jafa-e-naz agar hai babang-e-tabl-o-duhal
to dil-dukhon ka gila surma-dar-gulu hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.