jo dast-e-ahl-e-mohabbat ko iKHtiyar mile
jo dast-e-ahl-e-mohabbat ko iḳhtiyār mile
gadā ko phuul mileñ bādshah ko ḳhaar mile
ye shahr-e-shīshagarāñ hai yahāñ yahī hogā
ki sang ek milā aa.ine hazār mile
hamesha hoñToñ pe us ke hañsī nazar aa.ī
hamārī āñkhoñ meñ aañsū bhī be-shumār mile
ga.e the shahr se bāhar udāsiyāñ dhone
aur us safar meñ sab ā.īne par ġhubār mile
milā na dost bhī koī purānī galiyoñ meñ
sab apne shahr meñ masrūf-e-kārobār mile
kabhī to jhāñk zarā manzar-e-nigah se udhar
kabhī to aaqā koī mahv-e-intizār mile
batānā us ko ki sab DhūñDte rahe haiñ use
jo rāste meñ kabhī tum ko ‘tājdār’ mile
jo dast-e-ahl-e-mohabbat ko iKHtiyar mile
gada ko phul milen baadshah ko KHar mile
ye shahr-e-shishagaran hai yahan yahi hoga
ki sang ek mila aaine hazar mile
hamesha honTon pe us ke hansi nazar aai
hamari aankhon mein aansu bhi be-shumar mile
gae the shahr se bahar udasiyan dhone
aur us safar mein sab aaine par ghubar mile
mila na dost bhi koi purani galiyon mein
sab apne shahr mein masruf-e-karobar mile
kabhi to jhank zara manzar-e-nigah se udhar
kabhi to aaqa koi mahw-e-intizar mile
batana us ko ki sab DhunDte rahe hain use
jo raste mein kabhi tum ko ‘tajdar’ mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.