jo dekho to ayan kuchh bhi nahin hai
jo dekho to ayaañ kuchh bhī nahīñ hai
jo socho to nihāñ kuchh bhī nahīñ hai
vo rahtā hai kahīñ us se bhī aage
ye niilā āsmāñ kuchh bhī nahīñ hai
faqat do chaar din kī hai ye duniyā
are chhoḌo yahāñ kuchh bhī nahīñ hai
kahāñ daarā kahāñ hai ab sikandar
bachā kis kā nishāñ kuchh bhī nahīñ hai
na tālib hai na hai matlūb koī
zamāñ aur ye makāñ kuchh bhī nahīñ hai
sabhī jazboñ kī qīmat lag chukī hai
mohabbat kā bayāñ kuchh bhī nahīñ hai
jo dekho to ayan kuchh bhi nahin hai
jo socho to nihan kuchh bhi nahin hai
wo rahta hai kahin us se bhi aage
ye nila aasman kuchh bhi nahin hai
faqat do chaar din ki hai ye duniya
are chhoDo yahan kuchh bhi nahin hai
kahan dara kahan hai ab sikandar
bacha kis ka nishan kuchh bhi nahin hai
na talib hai na hai matlub koi
zaman aur ye makan kuchh bhi nahin hai
sabhi jazbon ki qimat lag chuki hai
mohabbat ka bayan kuchh bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.