jo dekho to wo chehra ajnabi hai
jo dekho to vo chehra ajnabī hai
agar socho to vaj.h-e-zindagī hai
mujhe hai e'tirāf-e-jurm-e-ulfat
mujhe tum se mohabbat ho ga.ī hai
mirī āñkheñ luTātī haiñ jo gauhar
mizāj-e-ishq meñ dariyā-dilī hai
masīhā.ī na tum se ho sakegī
hamārā dard-e-ulfat dā.imī hai
tirā paikar ḳhayāloñ meñ basā hai
har ik sū raushnī hī raushnī hai
hameñ raas aa ga.ī ḳhūbāñ-parastī
baḌī dilkash hamārī zindagī hai
tirī chāhat kā hai ye bhī karishma
adū se bhī hamārī dostī hai
mujhe mai-kash samajhtā hai zamāna
nigāhoñ meñ ḳhumār-e-āshiqī hai
maza jab hai vo kah de be-ḳhudī meñ
qarār-e-jāñ 'ra.īs'-e-vārsī hai
jo dekho to wo chehra ajnabi hai
agar socho to wajh-e-zindagi hai
mujhe hai e'tiraf-e-jurm-e-ulfat
mujhe tum se mohabbat ho gai hai
meri aankhen luTati hain jo gauhar
mizaj-e-ishq mein dariya-dili hai
masihai na tum se ho sakegi
hamara dard-e-ulfat daimi hai
tera paikar KHayalon mein basa hai
har ek su raushni hi raushni hai
hamein ras aa gai KHuban-parasti
baDi dilkash hamari zindagi hai
teri chahat ka hai ye bhi karishma
adu se bhi hamari dosti hai
mujhe mai-kash samajhta hai zamana
nigahon mein KHumar-e-ashiqi hai
maza jab hai wo kah de be-KHudi mein
qarar-e-jaan 'rais'-e-warsi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.