jo dekhta hun wahi bolne ka aadi hun
jo dekhtā huuñ vahī bolne kā 'aadī huuñ
maiñ apne shahr kā sab se baḌā fasādī huuñ
sahal hai sajda huqūq-ul-ibād mushkil-tar
isī liye to maiñ aabid nahīñ ibādī huuñ
mire baġhair tirī zindagī adhūrī sī
maiñ har lihāz se tere liye ifādī huuñ
bahut se naam haiñ mujh meñ lahū se likkhe hue
maiñ dostī kā nahīñ dushmanī kā 'aadī huuñ
siyāsiyāt ke māhir mujhe samajhte haiñ
maiñ sarhadoñ ke liye jang kī munādī huuñ
mujhe mazāq kā pahlū banāyā jaatā hai
'shakīl-shāh' maiñ ġhurbat-zada kī shādī huuñ
jo dekhta hun wahi bolne ka 'adi hun
main apne shahr ka sab se baDa fasadi hun
sahal hai sajda huquq-ul-ibaad mushkil-tar
isi liye to main aabid nahin ibaadi hun
mere baghair teri zindagi adhuri si
main har lihaz se tere liye ifadi hun
bahut se nam hain mujh mein lahu se likkhe hue
main dosti ka nahin dushmani ka 'adi hun
siyasiyat ke mahir mujhe samajhte hain
main sarhadon ke liye jang ki munadi hun
mujhe mazaq ka pahlu banaya jata hai
'shakil-shah' main ghurbat-zada ki shadi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.