jo dil ki bargah mein tajalliyan dikha gaya
jo dil kī bārgāh meñ tajalliyāñ dikhā gayā
mire havās-o-hosh par surūr ban ke chhā gayā
tire baġhair zindagī guzārnā muhāl thā
magar ye qalb-e-nā-tavāñ ye bojh bhī uThā gayā
jo shaḳhs merī zaat meñ basā huā thā muddatoñ
na jaane mujh se ruuTh kar vo ab kahāñ chalā gayā
phir aaj ik havā-e-ġham udaas dil ko kar ga.ī
ḳhayāl terī yaad kā nazar ko phir bujhā gayā
kabhī qadam jo thak ga.e ġhamoñ kī rahguzār meñ
tirī nazar kā nuur thā jo hausle baḌhā gayā
jo dil ki bargah mein tajalliyan dikha gaya
mere hawas-o-hosh par surur ban ke chha gaya
tere baghair zindagi guzarna muhaal tha
magar ye qalb-e-na-tawan ye bojh bhi uTha gaya
jo shaKHs meri zat mein basa hua tha muddaton
na jaane mujh se ruTh kar wo ab kahan chala gaya
phir aaj ek hawa-e-gham udas dil ko kar gai
KHayal teri yaad ka nazar ko phir bujha gaya
kabhi qadam jo thak gae ghamon ki rahguzar mein
teri nazar ka nur tha jo hausle baDha gaya
- Book : Shora-e-London (Pg. 123)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.