jo dil mein hai wahi kaghaz pe lata hun
jo dil meñ hai vahī kāġhaz pe laatā huuñ
kahāñ duniyā se maiñ kuchh bhī chhupātā huuñ
maiñ shā'ir huuñ mirā bas kaam itnā hai
hamesha sone vāloñ ko jagātā huuñ
ḳhudā ne dī jinheñ 'izzat mu'azziz haiñ
magar maiñ sar nahīñ nazreñ jhukātā huuñ
guzar kar baap kī chaukhaT vo mar jaa.eñ
tumheñ maiñ beTiyoñ kā dukh batātā huuñ
jo pūchhe rasta jannat kā koī mujh se
pata maiñ maañ ke qadmoñ kā batātā huuñ
yaqīñ sach kā kisī ko jab dilānā ho
qasam rab kī tirī qasmeñ uThātā huuñ
'ḳhizar' tab sūkhne lagte haiñ dariyā bhī
kahānī jab kahīñ apnī sunātā huuñ
jo dil mein hai wahi kaghaz pe lata hun
kahan duniya se main kuchh bhi chhupata hun
main sha'ir hun mera bas kaam itna hai
hamesha sone walon ko jagata hun
KHuda ne di jinhen 'izzat mu'azziz hain
magar main sar nahin nazren jhukata hun
guzar kar bap ki chaukhaT wo mar jaen
tumhein main beTiyon ka dukh batata hun
jo puchhe rasta jannat ka koi mujh se
pata main man ke qadmon ka batata hun
yaqin sach ka kisi ko jab dilana ho
qasam rab ki teri qasmen uThata hun
'KHizar' tab sukhne lagte hain dariya bhi
kahani jab kahin apni sunata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.