Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo dil-nawaz ho apna wo dilruba na mila

Syed Ali Mohsin Shahidi

jo dil-nawaz ho apna wo dilruba na mila

Syed Ali Mohsin Shahidi

MORE BYSyed Ali Mohsin Shahidi

    jo dil-navāz ho apnā vo dilrubā na milā

    sitam-pasand milā dard-āshnā na milā

    ġharīb Duub gayā bahr-e-ġham ke tūfāñ meñ

    vo jis ko dab ke ubharne hausla na milā

    jhukā sake na mire dil ko ahl-e-dair-o-haram

    ḳhudā ke ghar meñ ḳhudā qasam ḳhudā na milā

    vo ek tum ho ki sāhil milā baġhair talab

    vo ek maiñ huuñ ki tinke aasrā na milā

    ḳhudā shukr hai 'mohsin' ki mil ga.ī manzil

    bhalā huā ki hameñ koī rahnumā na milā

    jo dil-nawaz ho apna wo dilruba na mila

    sitam-pasand mila dard-ashna na mila

    gharib Dub gaya bahr-e-gham ke tufan mein

    wo jis ko dab ke ubharne ka hausla na mila

    jhuka sake na mere dil ko ahl-e-dair-o-haram

    KHuda ke ghar mein KHuda ki qasam KHuda na mila

    wo ek tum ho ki sahil mila baghair talab

    wo ek main hun ki tinke ka aasra na mila

    KHuda ka shukr hai 'mohsin' ki mil gai manzil

    bhala hua ki hamein koi rahnuma na mila

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now