jo dil se zamzama-e-nala-e-sahar aae
jo dil se zamzama-e-nala-e-sahar aae
Syed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
MORE BYSyed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
jo dil se zamzama-e-nāla-e-sahar aa.e
naved-e-maqdam-e-ījāb-e-pur-asar aa.e
huī hai lazzat-e-duniyā-e-dard phir paidā
harīm-e-dil meñ vo darmāñ ko phir utar aa.e
ilāhī josh-e-tamannā kī ye farāvānī
nigāh-e-shauq hijāb-e-darūñ meñ dar aa.e
bhaTak ke chal basā āvāra-e-junūñ āḳhir
salām us ko agar koī rāhbar aa.e
jabīñ rahīn-e-sujūd-e-niyāz hai lekin
muqābla meñ kisī kā to sang-e-dar aa.e
kiye haiñ jam.a kuchh ambār dil-faroshoñ ne
koī ba-sair-e-tamāshā-e-rahguzar aa.e
'anīs' manzil-e-hastī kā kyā nishāñ miltā
idhar se chaar ga.e do udhar se gar aa.e
jo dil se zamzama-e-nala-e-sahar aae
nawed-e-maqdam-e-ijab-e-pur-asar aae
hui hai lazzat-e-duniya-e-dard phir paida
harim-e-dil mein wo darman ko phir utar aae
ilahi josh-e-tamanna ki ye farawani
nigah-e-shauq hijab-e-darun mein dar aae
bhaTak ke chal basa aawara-e-junun aaKHir
salam us ko agar koi rahbar aae
jabin rahin-e-sujud-e-niyaz hai lekin
muqabla mein kisi ka to sang-e-dar aae
kiye hain jama kuchh ambar dil-faroshon ne
koi ba-sair-e-tamasha-e-rahguzar aae
'anis' manzil-e-hasti ka kya nishan milta
idhar se chaar gae do udhar se gar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.