jo donon mein judai marhala hai
jo donoñ meñ judā.ī marhala hai
yahī vo intihā.ī marhala hai
tumhārī intihā dekhī to samjhā
ye merā ibtidā.ī marhala hai
uThā kar uñgliyāñ sab hañs rahe haiñ
samajh lo jag-hañsā.ī marhala hai
batā do duudh kā koī dhulā hai
yahāñ ab pārsā.ī marhala hai
ye muTThī bhar hī lashkar se laḌeñge
ki phir se karbalā.ī marhala hai
'razī' sāñseñ mirī marzī nahīñ hai
qasam se ye ḳhudā.ī marhala hai
jo donon mein judai marhala hai
yahi wo intihai marhala hai
tumhaari intiha dekhi to samjha
ye mera ibtidai marhala hai
uTha kar ungliyan sab hans rahe hain
samajh lo jag-hansai marhala hai
bata do dudh ka koi dhula hai
yahan ab parsai marhala hai
ye muTThi bhar hi lashkar se laDenge
ki phir se karbalai marhala hai
'razi' sansen meri marzi nahin hai
qasam se ye KHudai marhala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.