jo dua thi wo be-asar Thahri
jo duā thī vo be-asar Thahrī
har ḳhushī itnī muḳhtasar Thahrī
vo achānak bichhaḌ ga.e sab se
dil kī dhaḌkan bhī is qadar Thahrī
apnī bastī ujāḌne vaale
tujh ko is baat kī ḳhabar Thahrī
hashr barpā kiyā judā.ī par
kis qayāmat kī chashm-e-tar Thahrī
ham to behāl ho ga.e hote
shā.irī un kī chārāgar Thahrī
jo dua thi wo be-asar Thahri
har KHushi itni muKHtasar Thahri
wo achanak bichhaD gae sab se
dil ki dhaDkan bhi is qadar Thahri
apni basti ujaDne wale
tujh ko is baat ki KHabar Thahri
hashr barpa kiya judai par
kis qayamat ki chashm-e-tar Thahri
hum to behaal ho gae hote
shairi un ki chaaragar Thahri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.