jo Dubte hue bazu nikal leta hai
jo Dūbte hue baazū nikāl letā hai
samundaroñ meñ bhī Taapu nikāl letā hai
idhar maiñ us kī hathelī pe phuul rakhtā huuñ
udhar vo jeb se bichchhū nikāl letā hai
isī liye maiñ gale se nahīñ lagātā use
vo pairahan se bhī ḳhushbū nikāl letā hai
kuchh aisī pyaas kā maarā huā hai be-sabrā
ke jaam dekh ke chullū nikāl letā hai
usī ke haath ḳhazāne asar ke lagte haiñ
duā ke saath jo aañsū nikāl letā hai
kisī ko raqs sikhātā hai vaqt kā pahiyā
kisī ke paañv se ghuñgrū nikāl letā hai
isī liye maiñ sunātā nahīñ ġhazal us ko
vo sher sun ke tarāzū nikāl letā hai
kisī ke kaam hī aa.egā jang meñ 'harshit'
badan se tiir agar tū nikāl letā hai
jo Dubte hue bazu nikal leta hai
samundaron mein bhi Tapu nikal leta hai
idhar main us ki hatheli pe phul rakhta hun
udhar wo jeb se bichchhu nikal leta hai
isi liye main gale se nahin lagata use
wo pairahan se bhi KHushbu nikal leta hai
kuchh aisi pyas ka mara hua hai be-sabra
ke jam dekh ke chullu nikal leta hai
usi ke hath KHazane asar ke lagte hain
dua ke sath jo aansu nikal leta hai
kisi ko raqs sikhata hai waqt ka pahiya
kisi ke panw se ghungru nikal leta hai
isi liye main sunata nahin ghazal us ko
wo sher sun ke taraazu nikal leta hai
kisi ke kaam hi aaega jang mein 'harshit'
badan se tir agar tu nikal leta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.