jo dur se hamein aksar KHuda sa lagta hai
jo duur se hameñ aksar ḳhudā sā lagtā hai
vahī qarīb se kuchh āshnā sā lagtā hai
kabhī hamārī nigāhoñ se dekh le us ko
phir us ke baa'd batā tujh ko kaisā lagtā hai
tamām raat jale din ko sard-mehr bane
badan kā shahr bhī shahr-e-anā sā lagtā hai
vo us kī sahmī sī chāhat jafā kī chilman meñ
vo bevafā bhī hameñ bā-vafā sā lagtā hai
bikharte TūTte in ziist ke makānoñ meñ
vo ik makān hameñ ḳhushnumā sā lagtā hai
salīb-o-dār pe chaḌh kar hue haiñ lā-fānī
ye dast-e-marg bhī dast-e-du'ā sā lagtā hai
jo dur se hamein aksar KHuda sa lagta hai
wahi qarib se kuchh aashna sa lagta hai
kabhi hamari nigahon se dekh le us ko
phir us ke ba'd bata tujh ko kaisa lagta hai
tamam raat jale din ko sard-mehr bane
badan ka shahr bhi shahr-e-ana sa lagta hai
wo us ki sahmi si chahat jafa ki chilman mein
wo bewafa bhi hamein ba-wafa sa lagta hai
bikharte TuTte in zist ke makanon mein
wo ek makan hamein KHushnuma sa lagta hai
salib-o-dar pe chaDh kar hue hain la-fani
ye dast-e-marg bhi dast-e-du'a sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.