jo dusron ki KHataen muaf karte hain
jo dūsroñ kī ḳhatā.eñ muaaf karte haiñ
dar-asl dil se kudūrat vo saaf karte haiñ
har ek baat meñ haamī nahīñ bharī jaatī
unheñ gila hai ki ham iḳhtilāf karte haiñ
kabhī gumān kī sūrat kabhī yaqīn ke saath
diloñ ke raaz kā ham inkishāf karte haiñ
hameñ yaqīñ bhī dilāte haiñ saath dene kā
vo sāzisheñ bhī hamāre ḳhilāf karte haiñ
kahīñ bhī pyaar se rahnā unheñ qubūl nahīñ
jahāñ bhī jaate haiñ dil meñ shigāf karte haiñ
unhīñ se azmat-e-urdu bahāl hai 'rāġhib'
jo guftugū meñ adā shiin qaaf karte haiñ
jo dusron ki KHataen muaf karte hain
dar-asl dil se kudurat wo saf karte hain
har ek baat mein hami nahin bhari jati
unhen gila hai ki hum iKHtilaf karte hain
kabhi guman ki surat kabhi yaqin ke sath
dilon ke raaz ka hum inkishaf karte hain
hamein yaqin bhi dilate hain sath dene ka
wo sazishen bhi hamare KHilaf karte hain
kahin bhi pyar se rahna unhen qubul nahin
jahan bhi jate hain dil mein shigaf karte hain
unhin se azmat-e-urdu bahaal hai 'raghib'
jo guftugu mein ada shin qaf karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.