jo ek bar mila tha mujhe jawani mein
jo ek baar milā thā mujhe javānī meñ
ab us kā zikr bahut hai mirī kahānī meñ
badan vahī hai vahī ḳhvāhishoñ ke pahnāve
nahīñ hai josh magar ḳhuun kī ravānī meñ
mujhe yaqīñ hai palaTnā hai ḳhālī haath mujhe
maiñ jaal pheñk chukā huuñ agarche paanī meñ
vafā-shi.ār the ham log zindagī ham ne
guzār dī hai tire ġham kī pāsbānī meñ
jo ek bar mila tha mujhe jawani mein
ab us ka zikr bahut hai meri kahani mein
badan wahi hai wahi KHwahishon ke pahnawe
nahin hai josh magar KHun ki rawani mein
mujhe yaqin hai palaTna hai KHali hath mujhe
main jal phenk chuka hun agarche pani mein
wafa-shiar the hum log zindagi hum ne
guzar di hai tere gham ki pasbani mein
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 256)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.