jo ek shaKHs tha misl-e-bahaar mere liye
jo ek shaḳhs thā misl-e-bahār mere liye
bichhā rahā hai vo kāñTe hazār mere liye
har ik qadam pe vahī bevafā.ī karne lagā
jo kar rahā thā zamāna nisār mere liye
vo chāhtā hai ki us ko banā luuñ maiñ apnā
tabhī to kartā hai har dam siñgār mere liye
zamāna 'ishq kī vaadī meñ kho gayā hai ab
nahīñ hai koī bhī ab ġham-gusār mere liye
jahāñ pe jā ke mire qalb ko tasallī ho
banā gayā hai vo aisā hisār mere liye
jo ek shaKHs tha misl-e-bahaar mere liye
bichha raha hai wo kanTe hazar mere liye
har ek qadam pe wahi bewafai karne laga
jo kar raha tha zamana nisar mere liye
wo chahta hai ki us ko bana lun main apna
tabhi to karta hai har dam singar mere liye
zamana 'ishq ki wadi mein kho gaya hai ab
nahin hai koi bhi ab gham-gusar mere liye
jahan pe ja ke mere qalb ko tasalli ho
bana gaya hai wo aisa hisar mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.