jo ek umr hansa tha mujhe satate hue
jo ek umr hañsā thā mujhe satāte hue
vo ro paḌā hai mirī dāstāñ sunāte hue
kisī ke pyaar kī ye āḳhirī nishānī hai
havā ne ye bhī na sochā diyā bujhāte hue
tumheñ bhī vaqt kī gardish nigal na jaa.e kahīñ
zarā ḳhayāl ho merī hañsī uḌāte hue
vo shaḳhs jis kā ta.alluq na thā koī mujh se
ye kyā ki rone lagā mujh se duur jaate hue
nigāh-e-nāz kī farmā-ravā.iyāñ tauba
vo muskurā bhī rahī thiiñ sazā sunāte hue
ilaaj apne añdheroñ kā aap ḳhud kiije
kumhār thak se ga.e haiñ diyā banāte hue
ghulā hai dard fazāoñ meñ is tarah 'sādiq'
ki jaan jaatī hai ik baar muskurāte hue
jo ek umr hansa tha mujhe satate hue
wo ro paDa hai meri dastan sunate hue
kisi ke pyar ki ye aaKHiri nishani hai
hawa ne ye bhi na socha diya bujhate hue
tumhein bhi waqt ki gardish nigal na jae kahin
zara KHayal ho meri hansi uDate hue
wo shaKHs jis ka talluq na tha koi mujh se
ye kya ki rone laga mujh se dur jate hue
nigah-e-naz ki farma-rawaiyan tauba
wo muskura bhi rahi thin saza sunate hue
ilaj apne andheron ka aap KHud kije
kumhaar thak se gae hain diya banate hue
ghula hai dard fazaon mein is tarah 'sadiq'
ki jaan jati hai ek bar muskuraate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.