jo ek umr se mahfuz tha nagin mere pas
jo ek umr se mahfūz thā nagīñ mire paas
zarūrat aan paḌī hai to ab nahīñ mire paas
ḳhudā kare ki inheñ bhī koī churā le jaa.e
ye chand qīmtī chīzeñ jo rah ga.iiñ mire paas
tamām raat isī maḳhmase meñ guzrī hai
ki shab tavīl hai aur koī bhī nahīñ mire paas
vo hastiyāñ ki umīdeñ thiiñ jin se vābasta
na koī sukh hī uThāyā na vo rahīñ mire paas
ḳhudā kī itnī baḌī kā.enāt meñ 'mehdī'
na āsmān hai sar par na hai zamīñ mire paas
jo ek umr se mahfuz tha nagin mere pas
zarurat aan paDi hai to ab nahin mere pas
KHuda kare ki inhen bhi koi chura le jae
ye chand qimti chizen jo rah gain mere pas
tamam raat isi maKHmase mein guzri hai
ki shab tawil hai aur koi bhi nahin mere pas
wo hastiyan ki umiden thin jin se wabasta
na koi sukh hi uThaya na wo rahin mere pas
KHuda ki itni baDi kaenat mein 'mehdi'
na aasman hai sar par na hai zamin mere pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.