jo ek zaKHm sar-e-shaKH-e-dil mahakta hai
jo ek zaḳhm sar-e-shāḳh-e-dil mahaktā hai
usī se ham ne ye jaanā ki 'ishq zinda hai
tumheñ ye 'ilm nahīñ ahl-e-dil ko hai mā'lūm
virāsat-e-ġham-e-jānāñ hamārā hissa hai
hamesha lutf-e-ḳhudā mantiqī nahīñ hotā
usī meñ ek kisī be-ḳhabar kā honā hai
usī ke dam se haiñ ham āsmāñ se vābasta
jo ek qarya-e-sar-sabz zer-e-pā sā hai
hameñ nasīb hai vo chashm-e-sāda duniyā ko
jo maslahat na ho kah deñ faqat tamāsha hai
jo ek zaKHm sar-e-shaKH-e-dil mahakta hai
usi se hum ne ye jaana ki 'ishq zinda hai
tumhein ye 'ilm nahin ahl-e-dil ko hai ma'lum
wirasat-e-gham-e-jaanan hamara hissa hai
hamesha lutf-e-KHuda mantiqi nahin hota
usi mein ek kisi be-KHabar ka hona hai
usi ke dam se hain hum aasman se wabasta
jo ek qarya-e-sar-sabz zer-e-pa sa hai
hamein nasib hai wo chashm-e-sada duniya ko
jo maslahat na ho kah den faqat tamasha hai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 74)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.