jo falsafa-o-danish-o-hikmat ne tarashe
jo falsafa-o-dānish-o-hikmat ne tarāshe
vo nit-na.e asnām bhī ham toḌ ke ḳhush haiñ
farsūda rivāyāt ke pāband raheñ kyuuñ
har rahguzar-e-ām ko ham chhoḌ ke ḳhush haiñ
zindān-e-anāsir hī pe mauqūf nahīñ kuchh
zanjīr-e-shab-o-roz bhī ham toḌ ke ḳhush haiñ
afsāna-e-dil hai bhī nahīñ bhī hai mukammal
ik aise hasīñ moḌ pe ham chhoḌ ke ḳhush haiñ
mast-e-mai-e-pindār haiñ jo aur haiñ vo log
ham log to TuuTe hue dil joḌ ke ḳhush haiñ
afsurda-o-pazhmurda-o-nākām raheñ kyuuñ
ham gardish-e-ayyām kā ruḳh moḌ ke ḳhush haiñ
jo falsafa-o-danish-o-hikmat ne tarashe
wo nit-nae asnam bhi hum toD ke KHush hain
farsuda riwayat ke paband rahen kyun
har rahguzar-e-am ko hum chhoD ke KHush hain
zindan-e-anasir hi pe mauquf nahin kuchh
zanjir-e-shab-o-roz bhi hum toD ke KHush hain
afsana-e-dil hai bhi nahin bhi hai mukammal
ek aise hasin moD pe hum chhoD ke KHush hain
mast-e-mai-e-pindar hain jo aur hain wo log
hum log to TuTe hue dil joD ke KHush hain
afsurda-o-pazhmurda-o-nakaam rahen kyun
hum gardish-e-ayyam ka ruKH moD ke KHush hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.