jo fan se fikr ki tadbir guftugu karegi
jo fan se fikr kī tadbīr guftugū karegī
to gūñgī bahrī bhī tasvīr guftugū karegī
maiñ jīte-jī use aisā hunar sikhā dūñgā
ki mere baa'd ye tahrīr guftugū karegī
'adālatoñ meñ gavāhī hameñ mile na mile
hamāre paañv kī zanjīr guftugū karegī
isī umiid pe āñkhoñ ke ḳhvāb zinda haiñ
ki ek din kavī tā'bīr guftugū karegī
pighal hī jā.egā vo sang-dil kisī din jab
mire zabān kī tāsīr guftugū karegī
badan se kar ke badan kī samā'atoñ ko duur
ye saañs ruuh se āḳhīr guftugū karegī
jo fan se fikr ki tadbir guftugu karegi
to gungi bahri bhi taswir guftugu karegi
main jite-ji use aisa hunar sikha dunga
ki mere ba'd ye tahrir guftugu karegi
'adalaton mein gawahi hamein mile na mile
hamare panw ki zanjir guftugu karegi
isi umid pe aankhon ke KHwab zinda hain
ki ek din kawi ta'bir guftugu karegi
pighal hi jaega wo sang-dil kisi din jab
mere zaban ki tasir guftugu karegi
badan se kar ke badan ki sama'aton ko dur
ye sans ruh se aaKHir guftugu karegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.