Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo faqat shoKHi-e-tahrir bhi ho sakti hai

Akhtar Shahjahanpuri

jo faqat shoKHi-e-tahrir bhi ho sakti hai

Akhtar Shahjahanpuri

MORE BYAkhtar Shahjahanpuri

    jo faqat shoḳhi-e-tahrīr bhī ho saktī hai

    vo mire paañv zanjīr bhī ho saktī hai

    sirf vīrāna ġhamgīnī baa.is to nahīñ

    ahd-e-māzī vo tasvīr bhī ho saktī hai

    chashm-e-hasrat se jo Tapkī hai lahū ik buuñd

    sub.h-e-ummīd tanvīr bhī ho saktī hai

    ranj-o-ġham Thokareñ māyūsī ghuTan be-zārī

    mere ḳhvāboñ ye ta.abīr bhī ho saktī hai

    bad-gumāñ hai to vahī morid-e-ilzām ho kyuuñ

    kuchh na kuchh to mirī taqsīr bhī ho saktī hai

    hosh qaa.em raheñ tūfān-e-havādis meñ agar

    bach nikal jaane tadbīr bhī ho saktī hai

    tīrgī baḳht samjho na use tum 'aḳhtar'

    multafit zulf-e-girah-gīr bhī ho saktī hai

    jo faqat shoKHi-e-tahrir bhi ho sakti hai

    wo mere panw ki zanjir bhi ho sakti hai

    sirf virana hi ghamgini ka bais to nahin

    ahd-e-mazi ki wo taswir bhi ho sakti hai

    chashm-e-hasrat se jo Tapki hai lahu ki ek bund

    subh-e-ummid ki tanwir bhi ho sakti hai

    ranj-o-gham Thokaren mayusi ghuTan be-zari

    mere KHwabon ki ye tabir bhi ho sakti hai

    bad-guman hai to wahi morid-e-ilzam ho kyun

    kuchh na kuchh to meri taqsir bhi ho sakti hai

    hosh qaem rahen tufan-e-hawadis mein agar

    bach nikal jaane ki tadbir bhi ho sakti hai

    tirgi baKHt ki samjho na use tum 'aKHtar'

    multafit zulf-e-girah-gir bhi ho sakti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now