jo farz aaed hua hai hum par use KHushi se ada karenge
jo farz aa.ed huā hai ham par use ḳhushī se adā kareñge
hamārā sheva yahī rahā hai jafā ke badle vafā kareñge
shikasta kashtī muhīb tūfān aur sāhil nazar se ojhal
azaab kitne hī aa.eñ ham pe na minnat-e-nāḳhudā kareñge
rasā.ī kaise vafā kī manzil pe hogī ye raaz ham se pūchho
jahāñ safar ḳhatm sab kā hogā vahīñ se ham ibtidā kareñge
ḳhushī ke jhūle haiñ jhūlne vaale kyā samajh paa.eñ zindagī ko
ye raaz un par khulegā jis dam vo dil ko ġham-āshnā kareñge
shajar hai be-barg kaliyāñ rauñdī huī gul-o-lāla haiñ fasurda
yahī hai manzar bahār kā to chaman meñ ham jā ke kyā kareñge
rahe haiñ zāt-e-ḳhudā se munkir gunāh taslīm hai magar ab
hayāt kī sarzanish se Dar kar buland dast-e-duā kareñge
azal se dastūr hai ye qaa.em na is meñ tarmīm ho sakegī
charāġh-hā-e-hayāt 'gauhar' jalā kareñge bujhā kareñge
jo farz aaed hua hai hum par use KHushi se ada karenge
hamara shewa yahi raha hai jafa ke badle wafa karenge
shikasta kashti muhib tufan aur sahil nazar se ojhal
azab kitne hi aaen hum pe na minnat-e-naKHuda karenge
rasai kaise wafa ki manzil pe hogi ye raaz hum se puchho
jahan safar KHatm sab ka hoga wahin se hum ibtida karenge
KHushi ke jhule hain jhulne wale kya samajh paen zindagi ko
ye raaz un par khulega jis dam wo dil ko gham-ashna karenge
shajar hai be-barg kaliyan raundi hui gul-o-lala hain fasurda
yahi hai manzar bahaar ka to chaman mein hum ja ke kya karenge
rahe hain zat-e-KHuda se munkir gunah taslim hai magar ab
hayat ki sarzanish se Dar kar buland dast-e-dua karenge
azal se dastur hai ye qaem na is mein tarmim ho sakegi
charagh-ha-e-hayat 'gauhar' jala karenge bujha karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.