jo gamzan hain unhin qafilon ke sath chalo
jo gāmzan haiñ unhīñ qāfiloñ ke saath chalo
ye mashvara hai mirā tajraboñ ke saath chalo
guzishta daur ke maazī se kuchh sabaq le kar
na.e safar pe na.e hausloñ ke saath chalo
tumhāre zaḳhm nahīñ ye safar kī 'azmat haiñ
jo chal sako to inhīñ ābloñ ke saath chalo
kahīñ tumhārā takabbur na tum ko le Duube
to ḳhud-shanās raho ā.inoñ ke saath chalo
tumhāre haath ke patthar kahāñ kahāñ barse
ye dekhnā ho to shīsha-garoñ ke saath chalo
mujhe yaqīn hai ab bhī purāne logoñ par
abhī bhī vaqt hai un falsafoñ ke saath chalo
safar kī saarī kitābeñ palaT ke dekhī haiñ
kahāñ likhā hai 'nafas' jāhiloñ ke saath chalo
jo gamzan hain unhin qafilon ke sath chalo
ye mashwara hai mera tajrabon ke sath chalo
guzishta daur ke mazi se kuchh sabaq le kar
nae safar pe nae hauslon ke sath chalo
tumhaare zaKHm nahin ye safar ki 'azmat hain
jo chal sako to inhin aablon ke sath chalo
kahin tumhaara takabbur na tum ko le Dube
to KHud-shanas raho aainon ke sath chalo
tumhaare hath ke patthar kahan kahan barse
ye dekhna ho to shisha-garon ke sath chalo
mujhe yaqin hai ab bhi purane logon par
abhi bhi waqt hai un falsafon ke sath chalo
safar ki sari kitaben palaT ke dekhi hain
kahan likha hai 'nafas' jahilon ke sath chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.