jo gai humse ruTh kar aawaz
jo ga.ī ham se ruuTh kar āvāz
haa.e kitnī thī mo'atabar āvāz
shor duniyā kā sunte phirte haiñ
dil kī suntā nahīñ magar āvāz
us kī āvāz meñ thā ik jaadū
koī laa.e vo DhūñD kar āvāz
ek saaya idhar se guzrā hai
vo ga.ī hai abhī udhar āvāz
ham ne sun kar ke ye hī dekhā hai
ab bhī kartī hai vo asar āvāz
ḳhuun ke ashk vo rulātī hai
us kī suniye to Duub kar āvāz
ek ḳhāmoshī de ga.ī ham ko
vo jo sunte the khāñs kar āvāz
us kā mātam manā.eñ ham chāhe
ab na aa.egī lauT kar āvāz
aur sab log shor karte rahe
sirf ham ne dī muḳhtasar āvāz
jo gai hum se ruTh kar aawaz
hae kitni thi mo'atabar aawaz
shor duniya ka sunte phirte hain
dil ki sunta nahin magar aawaz
us ki aawaz mein tha ek jadu
koi lae wo DhunD kar aawaz
ek saya idhar se guzra hai
wo gai hai abhi udhar aawaz
hum ne sun kar ke ye hi dekha hai
ab bhi karti hai wo asar aawaz
KHun ke ashk wo rulati hai
us ki suniye to Dub kar aawaz
ek KHamoshi de gai hum ko
wo jo sunte the khans kar aawaz
us ka matam manaen hum chahe
ab na aaegi lauT kar aawaz
aur sab log shor karte rahe
sirf hum ne di muKHtasar aawaz
- Book : آہٹ دیوان عزیز (Pg. 137)
- Author : ارشاد عزیز
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.