jo ghair ke jazbaat ki tazim karega
jo ġhair ke jazbāt kī tāzīm karegā
vo apnī ḳhatāoñ ko bhī taslīm karegā
maiñ us ko milūñgī bhī to TukḌoñ meñ milūñgī
taslīm se pahle mujhe taqsīm karegā
haq baat bhī bātil sī lage shīrīñ zabāñ meñ
vo lahje ko is vāste ab niim karegā
vo kaam jahāñ bhar kī davā.eñ na kareñgī
jo kaam mohabbat kā faqat miim karegā
be-kār meñ ham māñgte rahte haiñ duā.eñ
kyoñ apne hī likkhe meñ vo tarmīm karegā
jo ghair ke jazbaat ki tazim karega
wo apni KHataon ko bhi taslim karega
main us ko milungi bhi to TukDon mein milungi
taslim se pahle mujhe taqsim karega
haq baat bhi baatil si lage shirin zaban mein
wo lahje ko is waste ab nim karega
wo kaam jahan bhar ki dawaen na karengi
jo kaam mohabbat ka faqat mim karega
be-kar mein hum mangte rahte hain duaen
kyon apne hi likkhe mein wo tarmim karega
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.