jo ghalat baat hai wo baat nahin mante hain
jo ġhalat baat hai vo baat nahīñ mānte haiñ
ham qabīle kī rusūmāt nahīñ mānte haiñ
merī koshish hai tujhe dil se bhulā duuñ lekin
she'r kahtā huuñ to jazbāt nahīñ mānte haiñ
vo to andhe haiñ añdheroñ kī paḌī hai 'ādat
is liye raat ko vo raat nahīñ mānte haiñ
apne maz.hab pe bahut puḳhta yaqīñ hai lekin
nām-e-maz.hab pe ḳhurāfāt nahīñ mānte haiñ
aaj ke daur ke 'usmān' ye ziddī 'āshiq
sirf milne ko mulāqāt nahīñ mānte haiñ
jo ghalat baat hai wo baat nahin mante hain
hum qabile ki rusumat nahin mante hain
meri koshish hai tujhe dil se bhula dun lekin
she'r kahta hun to jazbaat nahin mante hain
wo to andhe hain andheron ki paDi hai 'adat
is liye raat ko wo raat nahin mante hain
apne mazhab pe bahut puKHta yaqin hai lekin
nam-e-mazhab pe KHurafat nahin mante hain
aaj ke daur ke 'usman' ye ziddi 'ashiq
sirf milne ko mulaqat nahin mante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.