jo ghalat hai wo sahi ho jaega
jo ġhalat hai vo sahī ho jā.egā
aadmī jab aadmī ho jā.egā
gar samundar kī taraf chaltā rahā
bahte bahte tū nadī ho jā.egā
vaqt kī shāḳhoñ se jo TuuTā nahīñ
vo har ik lamha sadī ho jā.egā
kaam terā ruk gayā to fikr kyā
ab nahīñ to phir kabhī ho jā.egā
jo samay kī taal kā sur ban gayā
vo samay kī bāñsurī ho jā.egā
zindagī kī qadr karnā siikh le
tū kisī kī zindagī ho jā.egā
jo ghalat hai wo sahi ho jaega
aadmi jab aadmi ho jaega
gar samundar ki taraf chalta raha
bahte bahte tu nadi ho jaega
waqt ki shaKHon se jo TuTa nahin
wo har ek lamha sadi ho jaega
kaam tera ruk gaya to fikr kya
ab nahin to phir kabhi ho jaega
jo samay ki tal ka sur ban gaya
wo samay ki bansuri ho jaega
zindagi ki qadr karna sikh le
tu kisi ki zindagi ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.