jo gali bhi thi mere shahr ki baDi aafaton mein ghiri rahi
jo gali bhi thi mere shahr ki baDi aafaton mein ghiri rahi
Iqbal Ejaz Baig
MORE BYIqbal Ejaz Baig
jo galī bhī thī mire shahr kī baḌī āfatoñ meñ ghirī rahī
kabhī kaal chehroñ kā paḌ gayā kabhī khiḌkiyoñ kī kamī rahī
jo guzarne vaale zamāne the baḌī ḳhāmushī se guzar ga.e
jo ghaḌī bañdhī thī kalā.ī se vo kalā.ī hī se bañdhī rahī
jo kivāḌ band paḌe hue the vo saare khulte chale ga.e
magar ik sadā mirī dastakoñ kī jo tere dar pe paḌī rahī
vo jo paTriyāñ thiiñ chamak chamak ke kisī kī aañkh meñ bujh ga.iiñ
vo jo rail thī kahīñ raste meñ baḌī bebasī se khaḌī rahī
vo jo dastaras meñ thā mo.ajiza use koī rasta nahīñ milā
mire haath meñ thī jo raushnī mire haath hī meñ rakhī rahī
baḌā gahrā rishta hai abr kā mire dil kī hālat-e-zār se
mirī chhat pe bārisheñ bhī huiiñ mirī aañkh meñ bhī namī rahī
jo gali bhi thi mere shahr ki baDi aafaton mein ghiri rahi
kabhi kal chehron ka paD gaya kabhi khiDkiyon ki kami rahi
jo guzarne wale zamane the baDi KHamushi se guzar gae
jo ghaDi bandhi thi kalai se wo kalai hi se bandhi rahi
jo kiwaD band paDe hue the wo sare khulte chale gae
magar ek sada meri dastakon ki jo tere dar pe paDi rahi
wo jo paTriyan thin chamak chamak ke kisi ki aankh mein bujh gain
wo jo rail thi kahin raste mein baDi bebasi se khaDi rahi
wo jo dastaras mein tha moajiza use koi rasta nahin mila
mere hath mein thi jo raushni mere hath hi mein rakhi rahi
baDa gahra rishta hai abr ka mere dil ki haalat-e-zar se
meri chhat pe barishen bhi huin meri aankh mein bhi nami rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.