jo gaya bahr-e-taghaful mein bhanwar tak pahuncha
jo gaya bahr-e-taghaful mein bhanwar tak pahuncha
Nafeesa Sultana Ana
MORE BYNafeesa Sultana Ana
jo gayā bahr-e-taġhāful meñ bhañvar tak pahuñchā
Duub kar ilm ke dariyā meñ guhar tak pahuñchā
ye jahāñ ek mukāfāt-e-amal hai jis ne
jaḌ ko sīñchā vahī phaldār shajar tak pahuñchā
kar ke barbād zamīñ hazrat-e-insāñ dekho
ab sukūnat ke liye arz-e-qamar tak pahuñchā
paas aatī na 'anā' tere kahāñ jaatī jab
us kā har rasta tirī rāhguzar tak pahuñchā
jo gaya bahr-e-taghaful mein bhanwar tak pahuncha
Dub kar ilm ke dariya mein guhar tak pahuncha
ye jahan ek mukafat-e-amal hai jis ne
jaD ko sincha wahi phaldar shajar tak pahuncha
kar ke barbaad zamin hazrat-e-insan dekho
ab sukunat ke liye arz-e-qamar tak pahuncha
pas aati na 'ana' tere kahan jati jab
us ka har rasta teri rahguzar tak pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.